Nazron se Nazrein mili to Bura Maan gaye
Hum ne Aankhon se Ishara kya to Bura Maan gaye
Baat Baat per Muskurana Unki Aadat thi,
Zara sa Hum ne jo Hansaya to Bura Maan gaye
Hamein Aazmane ki Baat karte they Aksar,
Jab Hum ne Aazmaya to Bura Maan gaye
Pyaar mai Be-Wafai na karna Wo Kehte they,
Isi Baat ko Hum ne Dohraya to Bura Maan gaye...
Aap rooth kar na yun saza dijiye,
Baat jo hai dil mein bata dijiye,
Darmian mein ho gaya hai jo faasla,
Aap khuda ke waaste mita dijiye,
Ha yeh suroor aur chhaa jayega,
Aake aap chhat pe muskura dijiye,
Gulshan-e-wafa ke phool khil jayenge,
Saath mere do ghadi kaata dijiye,
Ek shaam yaadgaar ban jayengi,
Aake pyaar ka diya jala dijiye,
Todkar ghamon ka nata parwaaz ka,
Pyaar ka safar hume kara dijiye..!!!
Mujhse mat pooch ke kyun aankh jhuka li maine
Teri tasveer thi jo tujh se chupa li maine
Jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi
Apne maathe ki woh lakeer mita li maine
Har janam sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai
Teri chaahat mein to umra bita li maine
Mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein
Waqt ke haathon se ek nazm utha li maine
Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu
Teri yaadoun se har ek saans saja li maine
Jiss shayari ko tum sunke bahut royi thi
Bas wohi aik ghazal sab se chupa li main...
Tum Hum Se Yeh Kahte Hoo, Mohabbat Nahi Rahi,
Tum Hi Badal Gaye Hoo, Yaa Woh Ulfat Nahi Rahi.
Her Baat Pe Taana, Her Andaaz Main Ghussa,
Kyun Saaf Nahi Kahte,ke Mohabbat Nahi Rahi.
Gheron Pe Karam, Apnoo Pe Sitam karte Hoo,
Phir Shaan se kahte, Hoo Qurbat Nahi Rahi.
Sehra Main Tapish Main, Jab Tum Ne Humen Choora,
Is Husan k Bazaar main, woh Qeemat Nahi Rahi.
Maana K Hum se, Bhi Buhat Ghaltiaan Huin,
Shayed Ke Dar-Guzar, ki Tumhen Aadat Nahi Rahi.
Manzar To Wohi Hai, Halat Hain Badle,
Shayed Ke Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat Nahi Rahi...
Wo Kaisi Shakhs Hai K Her Roz Saza Deti Hai
Phir Hansati Hai Wo Itna K Sab Bhula Deti Hai
Kabhi Jo Ro De To Mujh Ko Bhi Bhool Jati Hai
Aur Phir Bhool K Mujh Ko Bhi Rula Deti Hai
Us se Poocho K Bata Kis Se Muhabbat Hai Tumhe
Naam Sargoshi Me Mera He Suna Deti Hai
Kabhi Kehti Hai Chalo Sath Hamesha Mere
Chal Paroon Sath To Rasta Hi Phira Deti Hai
Khud Hi Kehti Hai Na Dohrao Purani Yaadein
Mai Na Dhohraoon To Phir Khud Hi Suna Deti Hai
Khud Hi Likhti Hai Ke Jazbaat Me Hulchul Na Karo
Aur Phir Khud Hi Nayi Aag Laga Deti Hai...!
Comments
Post a Comment